Tuesday 16 January 2018

Types of Shayaris
Self-pity
Haq zidka cheenati hai badguman-e-aatish
Ankhen jalti hai kuch aisi ke tasavvur na bane
Or
Idhar taqdeer sir pe hai zid udhar wo muskura rahe hai
Khaudaya aap bhi kaise kaise ghazab dha rahe hai
Or
Ek asasa khalk reh jata hai unki aadat-e-guftaar-e-haya mein
Wasl ki  raat guzare arram se zid subah gunah samjhe aate hai
Or
Na socha na samajha na sikha na jana
mujhe aa gaya khudbakhud dil lagana (Meer)
Or
Sher ke parde mein main ne gham sunaya hai bahut
marsiye ne dil ko mere bhi rulaya hai bahut (Meer)
Or
Zid kya kya dekh rahi hai teri ankhein koi pur-asar sher nahin milta
Awaaze cheekh rahi hai raston mein, par koi dilkashi-e-saaz nahin milta
Or
Yaksu dil hi dilmein soch raha hai zid kabse
Ke gar mera koi mukam hota to wo kaise hota
Bayan-e-fana
Ek riwayat hai zid jo farden farden tameel hoti hai
Aate farte-shauk wapas namurad ban kar jata hai
Or
Jo bijli hamakti ha unke mehal par
Wo karle tasalli mera ghar jala kar
Or
Khoob roshan hai zid afatab jinhe jeena pasand hai
khub kiye hai intezaar jinhe marna pasand hai
Or
Jano-imaan fana zid jab bhi hoti hai
Admi ko rage gairat ki kaha hoti hai
Or
Duniya ne kis ka rah-e-fana mein diya hai sath
tum bhi chale chalo yun hi jab tak chali chale (Zouk)
Indignant Shayari
There are verses that seek to chastise or self-deprecate the poet.
Nikalna khuld se sunte the aadam ka lekin
Bade be-abroo hokar tere kuche se hum nikle (Galib)
Or
Honge kam is bisat par hum jaise badkimar
Jo chal hum chale nihayat buri chale (Ibrahim Zouk)
Or
Yun hi ‘Firaq’ ne umr basar ki
Ya gham-e-janan ya gham-e-dauran-Firak Gaurakhpuri
Or
 Jist-e-toofan achha hai, jungju sar accha hai
 Marne se pehle ek aur zid ka khayal accha hai
Or
Is hal huun zid sivay fursat kuch kaam nahin milta…
Or
Is badnasib ka sar ho to zid qutl kya hai
Mar to pehlehi gaya tha isme harz kya hai
Or
Bayaan main kya karun ab is se aage apni nakaami
Tere yeh tevar aur mujh ko tujhi se kaam rahta hai-
Jafar Ali Khan
Or
Ham se pehle bhi mohabbat ka yehi anjaam tha
‘Qais’ bhi nashaad tha, ‘Farhad’ bhi nakaam tha-Hasrat Mohani
Or
Muddat hui rasaayi-e-qismat ko ro chuke
Vo sang-e-dar kahan yeh hamaari jabeen kahan- Riaz Khairabadi
Or
Idhar se aaj vo guzre to munh phere hue guzre
Ab inse bhi hamari bekasi dekhi nahi jaati- Asr Lakhnavi
The poets readily walk into the common man shoe & express themselves whole-heartedly. Typically these are the verses that create a pity in the mind of the listener; that the poet is also like him, but also creates pride in him; that he is also like the poet. 
Self-eulogizing shayari
Hai to waise duniyamein aur bhi sukhanwar acche
Magar kehte hai Galib tera andaaz-e-bayan kuch aur hai
Or
Zid tu aata hai jab bhi tund apni kalam-e-tausan pe sawaar
Tab tab mizaz-e-ghalib-e-fun koi aatish-e-bayan yaad aaya
Mehfilo-tanz shayari
Mai nahi samhjta huun ke marhala jaanne ki sabko zarrorat kya hai
Aadab Karen shartiya wah karen samazhneki zaroorat kya hai
or
Bazm gar phareb hai to yeh jist kya hai
Hum kya hai, tum kya hai yeh zid kya hai
or
Aaj phir mehfilse nakaam khudaya ghar aaye,
Roz to aate rahe par aap aaj bahot yaad aaye

Political- Husn-IshqTug of war
नाहक़[1] हम मजबूरों पर यह तुहमत[2]है मुख़्तारी[3] की
चाहते हैं सो आप करें हैं, हमको अबस
[4] बदनाम किया
Or
Main muntazir hun magar tera intazar nahi (Sahir)
Or
Jise aap ginte the aashna, jise aap kehta the bawafa
Main wahi hoon Momin-e-mubtala tumhen yaad ho ke na yaad ho

Or
Be-khabar soye hain woh loot ke neendain meri,
Jazba-e-dil pe tarss khaney ko jee chahta hai(Sahir)
Or
Zulphe-muntashir koi kam dimagi sabak nahin Zid zindgika
Jab bhi girah suljhata huun dao-pech aur samajh leta huun
Or
Allah ki khidmat karen zid unhone unhe baharon mein saja rakkha hai
Mai huun nakaam gayabana shae, unhe hazaron mein saja rakhha hai
Or
Wo nikale hai gulfam ban kar, muzhe chehera-e-surk bana rakhha hai
Wo choo gaye aasman be-dilike, zaminpe ba-dili-e-zid bana rakkha hai
Or
Unka robodab mat puchiye, unka behelna mat puchiye, zid
Jab baat muhobbat ki ho to kyunkar nakkab banker aate hai
Or
Is vast aa pahunch hai mere ghar pe jab shame soza-e-mom nahin
Ek thi  zid ki shan-o-shaukat ab wo hijr mein chale aate hai

Be-afsos –e-bayan
फ़क़ीराना आए सदा कर चले
मियाँ खुश रहो हम दुआ कर चले-Meer
Or
Yeh siyahi, ye kagaz ye malba jala dije saab zid
Ye jaddo-jehad ye tere saath jata to kaisa hota
Or
Zid bhi agar na ho sabit muhobbat kabil thik hai
johri-e-alamadar na ho to zeenat kaha hoti hai
Ba-afsos-e-bayan
बहोत आरजू थी गली की तेरी
सो याँ से लहू में नहा कर चले-Meer
Or
Ab aate hai zid jab sar manzar khamosh hai
Idhar log afsos karen hai wahan kismet-e-wafa badlee jati hai

Fitrat-e-shayari
Zid asar ka ek aisa mod hai ke sab kuch ho jaye tabah
Gar taqdeer ek sawaal hai to isko sakht girah chahiye
Or
Wo aise tane hai abroo ke jaise shamsheer-e-ajal babasta ho unse
Mai sochu sharaa-e-kaam-e-sharafat shamsheer-ba-kaf chale aate hai

Tijarat-e-khas shayri
Teri aamdani badhti jaye hai , haadsoe ki, aatishi-lafzo ki
Kya kya sunaye sheher-e-nigra, zid ab tak koi hisab nahin
Or
Kis junoon se likhte aaye ho tum be-mehfilke
Tehjib-ae-shauk-e-tijrat mein faake bahot hai
Junu-e-shayari
Kuch kam hi talluk tah muhobbat ka junu se
Diwane to hote hai banaye nahin jaate
Or
Junoon ke charche hai kya kya hidayat di jaati hai
ruh ki pehchan ke liye khud hi jal janeka paigam diye jati hai
Self-motivating shayari
Zid tu ek tandrust aashiq hai, tu berukhi se darna nahi
Garke-darya hona hai tuzhe, maut se marna nahi
Metaphysics
जबीं सजदा करते ही करते गई
हक-ऐ-बंदगी हम अदा कर चले-Meer
Hum bhi aate rahe is jannat-e-fiza mein kabhi kabhi
Bas gaye aadmi gar yaha to Zid maza kya hai
Or
Wo ek waqt tha ke shagufa mein lipte rehte the
Aaj gar beparde huye to tarikh bhi badlee jayegi
Or
Shab-e-mah behte darya mein muzhe shabgard banakar
Zid na ho taqdeer-e-khafa ek din zeenat bhi badlee jayegi
Tautology
Ye zameen aur hawa zid har ek hai unki ada
Sair hai zamaneki par mere kam aate bhi nahi
Or
Dekhe ja rahe hai husn to qatil nazar aaya
Gaur-talab har shae chake-gireba nazar aaya
Falsafa-e-shayri
Ishq mein dil hi nahi deed bhi sambhli jati hai
Jis thokar pe utthe gubar uski taseer-e-seerat badlee jati hai
Or
Meer, मर्ग[5] इक मान्दगी [6]का वक़्फ़ा[7] है
यानि आगे चलेंगे दम लेकर
Or
Jo gham-e-habeeb se door the woh khud apni aag mein jal gaye
Jo gham-e-habeeb ko pa gaye woh ghamon se hans ke nikal gaye-
 Shair Lakhnavi
Or
Shabe ghum chashme naam jaga kiye Zid khwabo ki ek haqeekat mili
Wo yakayak tufano me jo kashti dubi kaise taqdeer palatkar ise ulfat mili

Ba-khuda shayari
Momin na sahi bosa-e-pa sajda hi karenge
Woh but hai jo auron ka to apna bhi Khuda hai
Or
Aisi ghazal kahi yeh ke jhukta hai sab ka sar
Momin ne is zameen ko masjid bana diya
Spatial Poetry
These are the verses that have a very open space. Over the length of the ghazal the poet seeks to condense the space & make it more nuclear.
Dilme ek lehar si utthi hai abhi
Loi taaza hawa chali hai abhi
Or
ek hawa khawab bun rahi hai, iska pesh-e-khidmat kya hoga
Aahat to milti rahi dilonko, khushboo-e-paigam kya hoga (Zid)

Or
Mulke mein adam bahut fail gaye sab taraf
Hawwa befuzul kyun hawa ki tareh lehrati hai
Or
Phir ek lamha ja basa fiza-e-shauk-e-fursat mein
Waqt ko milna hai kisise par ittefaq bhi zaroori hai
Or
Ayega waqt bhi piche tere bandhe sehra
Aaj fursat nahin ae waqt tere guzar jane ko
There is humor that gets manufactured in any poetic expressions. That is principally because there could be confusion between a subject & object. Poetry is a afst track communication of emotions, values, philosophy that likes to keep off any rigid rules or formalities of grammar.
In the verse, for example;
Apni fitrat-e-quad chod maikhane chale aate hai the subject is not clear. Actually the subject is not stated. So it imperative that the listener would tend to think the poet is talking about quad but then he is talking about fitrat-e-quda. It is quite a change in the subject. The word ‘maikhane’ is also a contestant for the subject.
Similarly in the line
Zid tuze dekhe hai har shaks kambhakto ki nazar
Whether the word ‘ kambhakt’ ( gushtaki mauf kare!) is not clearly addressed with respect to the poet. However in the context or form the perspective of the ‘taseer’ of the wholesome ghazal it is obvious that he expression ‘Kambakht’ is with reference to the poet. It is a fashionable expression in poetry; post Mirza Gaalib & poets take pride in saying this. Hence no apologies to the poet concerned here!
Kya guzar shauk baithe phir tuzhe samjhaneko
But eventually the purpose of the poetry is never to create a nucleus. At best one could say it is poetic compulsion to use some sort of nucleus upon which ideas get developed. At best it could start off with the nucleus & expand it into the space. Meaning starts where the words end. Human emotions are more about speechlessness & lesser about utterances. It is truer in case of matters of love & other finer aspects of life. But words do open up varied vistas of thoughts. Words are as harsh as they are provocative. Artistic sensitivity therefore is not so much the measure of one’s understands of the poetry but one’s natural instinct to set off on ‘another’ journey in response to the poetic stimulus.
When the audience involvement is considered within the time & space of the recitation it is likely that poetic verses are more obvious. I call this ‘Kacchi Shayari’. You mostly enjoy this in company of kith & kin.
Nazar nawajish nazaron mein ji nahin lagta
Wo kya gay eke baharon me ji nahi lagta
But where the effect is likely to be more after the poetic interface the verses are likely to be very subtle, very open & very quiet. Good poetry has that intent capacity to hide the content & also the meaning. I call this ‘Pakki Shayari’. You mostly enjoy this when you are alone.
Shab-ae-furkat ka jaga huun farishto ab to sone do
Kabhi furst mein kar lena hisab aahista aahista-Ameer
Or
Daamne yaar ki zeenat na bane har aansoo
Apne palko ke liye kuch to bachaye rakkhiye-Tarik Badayani
There are ghazals that are short & hence they seek to make a fast-track effort to come to the conclusion. In that sense the ghazal is not one of the classical journeys through poetry as much as it is a generous recipe of beauty of music, expressions & the personification of ‘leher’ by the singer.
Waqt accha bhi aayega naseer
Gum na kar zindgi padi hai abhi
In the poetry
Allah ki khidmat karen unhone unhe baharon mein saja rakkha hai
After many cribs & transgressions such as
Mai huun sans-e-tar unhe, be-dhadkan aaram de rakkha hai
the ghazal takes you to a very poignant case;
Ab marna hai isliye unhone meherbaniye kinaron pe basa rakkha hai
Biggest jump comes at the end where the poet says;
Yeh khwab hi sahi, Zid dekh unhone tuzhe palko mein bitha rakkha hai
But most good poetries take recourse to metaphors that offer soothing touch to the soul.
 Self-Talk poetry
These are the intricate areas of human consciousness that many time borders on the subconscious thinking. This is category of mature poetry that steadily reduces the number that ether wants to listen to this or they can understand this. Poetry being it, never tries to offer any explanation for anything that is said. It is against the poetic rights or for that matter, rights of every creative sport.
Apni zid ko sawarne phir nikale hum
Aawargi ko basane  phir chale hum
Gardishone kaha ab koi raah nahin
Apnihi god mein phir so gaye hum
Or
Koi samjhe meri betaabi, ashayar pahelehi keh dale
Wo pahunche nahin hai mehfil, khwab bhi pure kar dale
Rawayt-e-khas shayari
Ghazal is not just a reality of experience but it is also realization of an experience through imagination. Hence many traditions & etiquettes find an easy way into the ghazal.
Hum bhi jaga kiye tere sone tak …
…therefore, needs a freedom of mind to appreciate the plot rather than having to actually justify this kind of an experience.
Husne bayan-shayari
Wo alat palat rahe hai aaftab-e-noor achha hai
Wo angdae le rahe Zid khayal-e-katil achha hai
Or
Yeh gesu hai bikhre ya meri nazren hai bebak
Ham bhi jaga kiye har roz zid tere sone tak
Or
Abr-angdae zameene utar aaye to bark hai
Ise bazm-e-aara kahe ke Zid kayamat kahe
Nigahi-e- shayari
Mai pe kya lagate ho aaj to bin piye hi mast hai
Ho sake to kuch kijiye in aankhoka ilaaz
Jin aankhonse mai khud tapakati hai
Or
Mai teri mast nigahika bharam rakh lunga
Hosh aaya bhi to kehdunga muzhe hosh nahin

Ishkiya shayari
Ibaadat hoti hai sarre-aam hathon se 
Aur ye purjor bhakht cheez nigahon mein chipai jati hai
Or
Waqt guzrte der nahi lagti safina-e-safar der nahi lagti
Khair aaj koi khalk nahin aaj wo hangame wafa yaad aaya
Muhobbati Shayari
Muhobbat ruhani husn ki numaish hai
Zid ye aisi shiddat jo khas soorateon mein girvida hoti jati  hai
Or
Bada-e-safi kaun pa gaya hai insa
Mehfile zid roz phir kyun sajti rahi
Insaniyat ki shayari
Zindgi tune kya kya sataya hai insaan ko koi bedaag chehra nahin milta
But to kitne ban baithe hai zamane mein par zid jaisa koi kafir nahi milta
Or
Waqt-b-waqt har shaks ko ilm bhi nahin hota
Zid bhi kya cheez hai ek aah guzar jane ko
Or
Ukda nahin e-o-aa thodi kashmakash hai
Insa samaze gar insa to zid har dil aziz hai
Or
Mai guftgu-e-wasl sochu wo shauk-e-arram kare
Jism jalta rahe yahan zid wo khayal purjor Karen
Or
Kabhi aasu, kabhi aahe sab namkin banakar betalkh pee gaye
Zid bekalf hai, nigar nisar hun ye paitronki zaroorat kya hai
Or
Hairat-e-gum se ghabaraye ho zid to ye sun lo
Lije kuch aisi bhi dawa jo ke khaye na bane
Or
Aaj aayeho milne jab zid jane ki fikr mein hai
Log puch rahein ‘kiska kaun’ aur aapka bhi jikr hai
Or
Junoon ke charche hai zid kya kya hidayat di jaati hai
ruh ki pehchan ke liye khud hi jal janeka paigam diye jati hai
Or
Mai ek nek banda hun khudaka nawazo
Par na pucho muzhse ke khuda kya hai
Taqdeer-e-mizaz shayari
Taqdeer ek bar jiska daman choo le wo khilona hai insan nahin milta
Ye wo falsafae band lifafe hai jis khat ka kisiko pata nahin milta
Or
Ab wo bhi aaye mahatab, ashiyane par nikhar aaye
Taqdeer palatte der hai, mizaz mein bahar aaye
Or
Tege dodam bakkaf tejotund takrarkar laut jati hai lillah teri zidse 
Dast andaaz hai koi taqdeer-e-khuda bas yahan paigam nahin milta
Apne nashemanse kaise Zidko muntakil karne aaye
Parwar-digar muzhe jannat-e-khwab dikhane aaye
Or
Huwe marke hum jo ruswa huye kyun na garke dariya
Na kabhi janaza uthata na kahi mazaar hota
Or
Aap to Zid pehlelhi mar gaye the
Tareekh dekh kafan sara jala dala
Or
Aise wajud bhi kaha milta hai zid kisko ek zindgi jinepar
Tajwiz-e-bakshish pasand aayi, ab bekhauf jiye ja raha huun
Or
Taaheer-e-nafaz to ud gaya khak abhi baaki hai
Kaunsi zid saath le gaya uska pata abhi baaki hai
Taseer
All human emotions revolve around some fixed component. Without the existence of that it would be impossible to remember a subject. Poetry is a response to human emotion & hence it is likely to follow one recipe or one type of dote.
Ba-Taseer
There is continuity of the environment. There is a persistsence on a subject. This is more like a traditional English poetry.
Is mehfil mein ek parivash hai apni nazar se kaise dikhau
Mere zhakmi haalat-e-aalam aapse kaise na chupau
Yeh inqalab-e-muhobbat hai aatish hai aag kaise buzau
Koi yakayak sinese lipat jaye hai hasrat-e-mudam kaise na jatau
Mutmaen lamhe guzre aaram hai elahi-e-khidmat kaise na batau
Bada-e-gulfam dube hai zamana is shisha-e-aafat ko kaise na tod du
Bada-e-gusar ka markaj jo hai us dimag ko kaise na badal dun
Badiya-e-gard kimar bane hai Is shart ko kaise na tod du
Zindgi wada hai waqt-e-shareerka is miyad ko kaise na suljha du
Akl wais-e-shauk batain hai is fasad ko zid kaise na luta du
Be-taseer
Dard minnat-kash-e-dawa na huwa mai na achha huwa bura na huwa
does not maintain the poetic chemistry in the following verses;
Jama karte hokyun trakibo ko yeh tamasha huwa gila na huwa
Kuch to kahiye ke log kehte hai aaj Ghalib gazhal sar na huwa
Hai khabar garm unke aaneki aaj hi gharmein boriya na huwa…
Or
Yeh hasrat kehkasha mein kaise ghume hai, jo ban gaye sitarein unse huzzat kare hai
does not have he same chemistry as;
Nikal do in sabko meri aakhri tamanna hai, akela hi rahu waha sab muzhpe nazar karen hai
Or
Jis thokar pe zamane guzre ishq-e-latif ke usi ravishse nikle zid muhobbat-e-julus apni
Does not have the same chemistry as;
Kuch kam nahi ye masarrat bhi badi hai kaun mahi-e-beab bane hai khushi apni
Ghazal is minor subject if it considered as a part of the generalized notion of poetry; all languages included. However, ghazal is one of the most intricate & challenging subject know how when considered as a tool of expression. It is these complexities that make ghazal such a passionate subject for people who live more in after-thought than in thought per say. That is possibly a reason that steadily ghazal is losing favors with mass thinking & is getting elevated to being subject matter of connoisseurs. Zid ki Shayari is a sincere attempt to make that connoisseur class multiply by creating that taste and understanding. There is more to follow.






No comments:

Post a Comment